ads

Wednesday 16 December 2020

Sunday 4 March 2018

a href=index2a73.php?ref=>

Sunday 7 January 2018

Qurban Jafri Do Bar Namaz Shaheed Hui bohy





Do bar namaz shaheed hui, ik Masjid mein ik maktal mein,
Quran lahu main tar dekha, ik Kufay mein ik Karbal mein.



Ik bar yateem hoi bibi, ik bar hoti mutajarda,
Do bar Nabi ka ghar ujra, ik basti mein ik jangal mein.



Ghurbat mein yoon majboor kiya baiass Batool ki baiti ko,
Do bar Madina yaad aaya, Ik zinda mein ik mehwal mein.



Huway zakhmi kaan Masuma kay, pamal Hussain ki laash hoi,
Do bar qiyamat tout pari, Ik khaimoon pay ik maktal mein.


Kuch paak namazi katal huey, teer o talwaroon say Muhsin,
Kuch zindanoon mein dafan huey, pardesi qaid musalsal mein.

NOHA INFORMATION:
Noha Reciter: Qurban Jafri
Album: Qurban Jafri – 2004

Kha green ka ghar kha Hussain ke ma NIHY by Ferhan Ali waris

FATEMA  ZEHRA (SAWS)….4

Gam E HUSAIN (ASWS) Kaisa Sharaf Yeh Paya Hai

Ke Apne Hathon Se Main Ne Alam Sajaya Hai

Suna Hai Aati Hai Majlis Mein FATEMA ZEHRA (SAWS)

Yeh Baat Soch Ke Farsh E Aza Bicha Ya Hai

Karam Yeh Majlis E SHABBIR (ASWS) Ne Kiya Warna

Kahan Gareeb Ka Ghar Aur Kahan HUSAIN (ASWS) Ki Maan…..3



Khabar Hai Bint E Rasool E Khuda (Saww) Ke Aane Ki

Badal Rahi Hai Hawaien Gareeb Khane Ki …..2

Mera Naseeb Ke Mehman Hui Meri ZEHRA (SAWS)

Kahan Gareeb Ka Ghar Aur Kahan HUSAIN (ASWS) Ki Maan…..



Farishte Shah O Gada Gar Subhi Hai Pesh E Nazar

Hai Ambiyan Ki Qatare Lagi Mere Ghar Par…..2

Tumhare Aane Se Bibi Yeh Martaba Paya

Kahan Gareeb Ka Ghar Aur Kahan HUSAIN (ASWS) Ki Maan…..



Fatema ZEHRA (SAWS) …..4



Yeh Majlis E SHABBIR (ASWS) Mein Behte Hue Aansun

Firdous Ke Bagon Mein Saja Deti Hai ZEHRA (ASWS)…..2

Shehzadi Zameen Pe Ishe Girne Nahi Deti

Bach Jaaie To Kausar Mein Mila Deti Hai ZEHRA (SAWS)



Yeh Nauha Khwani Yeh Soz O Salam Aur Matam

Humare Ashq Hai Bibi Ke Zakhm Ka Marham

Agar Na Hote Wasila Yeh Matam O Nauha

Kahan Gareeb Ka Ghar Aur Kahan HUSAIN (ASWS) Ki Maan…..



Gareeb Khane Ko Jannat Bana Diya Bibi

Khushi Yeh Aasi Hai Jisne Phula Diya Bibi…..2

Har Ek Ash Ne Aankhon Se Girte Girte Kaha

Kahan Gareeb Ka Ghar Aur Kahan HUSAIN (ASWS) Ki Maan…..



Sar E HUSAIN (ASWS)  Jo Sheerin Ke Ghar Mein Aaya Tha

Sar E HUSAIN (ASWS) Ke Hum Rah Aaieye Thi ZEHRA (SAWS) …..2

Jo Dekha Bibi Ko Sheerin Ne Yeh Kiya Nauha

Kahan Gareeb Ka Ghar Aur Kahan HUSAIN (ASWS) Ki Maan…..



Jub Kisi Ghar Mein Koi Mar Jaaieye,

Dunia Gam Baantne Ko Aati Hai

Haye Kitni Gareeb Hai ZEHRA (SAWS)

Pursa  Lene Bhi Chal Ke Aati Hai



Ghar Mein Mere Majlis Hui, Aur Bich Gaya Farsh E Aza

Zakir Ne Jub Majlis Padhi, Aur Hal Rukhsat Ka P Jo Adh

Itna Roie ZEHRA  (SAWS)…..2



Farhan Aur Mazhar  Padha, Nauha Shahe Mazloom Ka

Tha Zikr Jub Ashoor Ka, SHABBIR (ASWS) Par Khanjar Chala

Itna Roie ZEHRA (SAWS)…..2



Dete Rahe Ahle Aza

GAZI (ASWS) Ka Pursa, SARWAR (ASWS) Ka Pursa

AKBAR (ASWS),  Ka QASIM (ASWS), ASGHAR (ASWS) Ka Pursa

Itna Roie ZEHRA (SAWS)…..2



ZAINAB (SAWS), Ka KULSOOM (SAWS), O FIZZA (SAWS) Ka Pursa

SAJJAD (ASWS), Bali SAKINA (SAWS) Ka Pursa

Itna Roie ZEHRA (SAWS)…..2



Bali Ka Pursa, Chadar Ka Pursa

AUN (ASWS) O MOHAMMAD (ASWS), Ka BAQIR (ASWS) Ka Pursa

Itna Roie ZEHRA (ASWS)…..2



Naizon Pe Rakkhe Har Sar Ka Pursa

Bibi Tumhare Bhar E Ghar Ka Pursa
Itna Roiye ZEHRA  (SAWS)…..2

Bhol pyai SAKINA kha Nohy by Ferhan Ali waris

tanhaiyan sarghoshiyan
haan sakina ki hai ye fughan
mere gardan may baandhi gayi rassiyan
mere kaano se nochi gayi baaliyan
khoon behta raha dard badtha raha
taaziyane layeeno ke aur wo jafa
bhool paayi sakina kahan

mujhko kaanto pe paidal chalaya gaya
baap ka sar dikha kar rulaya gaya
tha wo kaisa safar bibiyan nange sar
ek ek zakhm se khoon behta raha
bhool paayi...

mai jo royi to mujhko tamache lagay
thak ke soyi ko abid ko durray lagay
beech bazaar may shehre aghyaar may
haye saadaat ka jo tamasha bana
bhool paayi...

bola darbar may aake yun ek shaki
tu kaneezi may ja haakime waqt ki
kaisa lamha tha wo kaisa sadma tha wo
roke us dam pukari mai haye chacha
bhool paayi...

mere baba ka sar tasht may tha rakha
ussay gustakhiyan karte thay ashkiyan
koi haami na tha kisko deti sada
ek ghayyur bete ko ghaiz aagaya
bhool paayi...

raah may pani aata mayassar agar
daal deti thi abid ki zanjeer par
har qadam ek jafa rona bhi jurm tha
darmiyan shaamiyon ke thi aale aba
bhool paayi...

poocha haakim ne darbar may shimr se
in aseeron may binte ali kaun hai
ro rahi thi phuphi thi wo kaisi ghadi
naam phupiyon ka leta tha wo be-haya
bhool paayi...

dil pe pathar rakha aur jeeti rahi
taaziyane layeeno ke sehti rahi
dushmano ka watan mai aseere mehan
jis jagah ek lamha tha ek saal sa
bhool paayi...

kamsini aur aseeri wo zindan ki
jis jagah maut bhi aake rone lagi
yaad nashtar bani khaak bistar bani
phi ye zindan meri lehad bangaya
bhool paayi...

ek paigham hai zaairon ko yehi
shab ko bibi ke rauze pe jao kabhi
ro rahi hai wahan ab bhi tanhaiyan
sunke aaye hai farhan o mazhar sada
bhool paayi...